Din ke namazon main dosri namaz Zohar ke namaz hain. Is topic main hum apko Zohar ke namaz ka waqat, rakaat, niyat aur complete Zohar ki Namaz Ka Tarika in urdu batain gaye.
Zohar ke Namaz Ka Waqat:
Zoahar ke Namaz ka waqat mid-day yani Zawal ke Waqat ke bad say shuru hota hain aur jub suraj dhalne lag jain yani her cheez ka saya (shadow) double hone lag jain tab tak rehta hain. Aur kuch log ye be kehte hain ke Asar ke namaz ka waqat shuru hone say pehle tak hota hain.
Aik hadees main Bayan hain k; Rasoolallah SAW ke aadati thi ke wo garmiyon main zaohar ke namaz late or sardiyon main jaldi pharha kartain the.
Albata Namazon ko shuru aur khatam hone ka waqat ke liye time table ka calendar dekhna chahiye.
Zohar ki Namaz Ke Rakaat:
Zohar ke Namaz ke total 12 rakaat hain.
- 4 rakaat Sunnat
- 4 rakaat farz
- 2 rakaat Sunnat
- 2 rakaat Nafal
Namaz- Zohar ke 4 Rakaat sunnat ke Fazilat:
Hadees main Zaohar ke 4 rakaat sunnat ka halawa is trah say bayan kiya gya hain:
Hazrat Abdullah Razi Allah Talah Anhu nay fermaya; k din Ke Namazon main say, sirf Zohar ke namaz say pehle ke 4 rakaat sunnat Tahajjud ke braber hain or inko baki Namazon par aisi fazilat hain jaise Namaz bajamat ke.
Zohar ke Namaz ke Niyat:
Namaz ke Niyat dill ke irade ko kehte hain ager dill main kar le jain kafi hain, lekin zuban say kehna mustahab hain. Zohar ki Namaz ki Niyat is tarah say kerni chahiye.
4 rakaat Sunnat ki Niyat:
Niyat ki main nay 4 rakaat Namaz Zohar sunnat, sunnat-Rasoolallah ke, Wasty Allah Talah ke Muh mera Qaba Shareef ki taraf.
4 rakaat farz ki Niyat:
Niyat ki main nay 4 rakaat Namaz-Farz Zohar ke, Waste Allah Ke Muh mera Qibla Shareef ki taraf.
2 rakaat Sunnat ki Niyat:
Niyat ki main nay 2 rakaat Namaz Zohar sunnat, sunnat-Rasoolallah ke, Wasty Allah Talah ke Muh mera Qaba Shareef ki taraf.
2 rakaat Nafal ki Niyat:
Niyat ki main nay 2 rakaat Namaz-Nafa Zohar ke, Waste Allah Ke Muh mera Qibla Shareef ki taraf.
Complete Zohar ki Namaz Ka Tarika In Urdu:
Yahan complete Zohar ki Namaz ka tarika in urdu bayan kiya gya hai. Sub say pehle Zohar ke 12 rakaat main say pehle 4 rakaat sunnat ka tarika dekhain gye.
4 Rakaat Sunnat Mokkada ka Tarika:
4 rakaat sunnat mokkada ka tarika ye hain.
Sanaa:
Zohar ke 4 rakaat sunnat mokkada ke niyat karne ke bad Pher taqbeer-e-tehreema kahain yani apne dono hath kanoon tak lay jain aur Allah-Akbar keh kar dono hath naaf ke nichy is tarah badh lain k daya hath baye hath ke upper ho. Pher sanaa pharhain aur phar tauz aur Tasmia pharhain:
Note: Aurtain Taqbeer-e-Tehreema keh kar hath seenye par bandh lain.
Tauz or tasima khatam kerne ke bad surat-al–Fatiha phahain. Usk bad phr Surat-al-Ikhlas ya koi b surat jo apko ati ho phar lain.
Ruku:
Surat khatam karny k bad Allah Akbar kahain aur Ruku k liye is tarah say juk jain, k dono hathon say dono ghutno ko pakhar lain aur apki kamar sar ke brabar ho. Aur 3 ya 5 dafa Ruku ki yeh Tasbih pharhain.
Usk bad ruku say sedhe khary hoty huvy ye kalmaat kahain.
Sajada:
Sedhe khary hone ke bad Allah Akbar kehain our sajide main chaly jain. Phar or 3 ya 5 dafa sajide ke ye Tasbih phahain. Pher Allah Akbar kehte huvy uth jain or seedhe baith jain. Isk bad Pher Allah Akbar keh ker dosra sajda krain. Aur pher Allah-Akbar kehty huvy seedhe khare ho jain.
Note: aurton ko sajda simat kar karna chahiye na ke madron kit rah upr uth kar.
2nd Rakat:
Is tarah pehli rakat complete ho jati hain. Ab dosri rakat ke liye Allah-Akbar kehte huvy khary ho jain. Aur phar dosri rakat shuru kerty huvy Bismillah ke bad surat-al–Fatiha or koi be surat pharhain. Dosri rakat b pehli rakat ke trah pori krain. Jub dosri rakat ka dosra sajda kar lain to phar khare hone ke bajahe wohi Tashahhud ke liye beth jain.
Tashah-Hud:
Tashahhud ke liye baithty huvy apna dayan paon khara krain ke unglian Qibla ki traf ho aur bayan paon becha huva ho. Aur apny dono hath ghunton per rakhain or Attahiyyat, pharhain.
3rd aur 4th Rakat:
Tashahhud pharne ke bad, phar Allah-Akbar keh kar sedhe khare ho jain or hath badh kar teesri rakat shuru krain. Aur pher isi trah teesri ke bad chothi rakat be phar lain. Jub chothi rakat ka dosra sajda kar lain to wohi baith jain or Tashahhud yani atahiyat pharhain.
Darrod-e-Ibrahim aur dua-e- Masoora:
Jub Tashahhud phar lain pher uske bad Darrod-e-Ibrahim pharhain, aur Pher Darrod-e-Ibrahim k bad duaye- Masoora pharhain.
Salam:
Dua pharny ke bad akhir main ab salam pher lain. Is ke liye pehly daen traf or phr baen taraf salam pherain aur dono tarf salam pherte huvy ye kalmaat kahain. Neez salam phertain huvy apki nazrain kandhon ke taraf honi chaiye.
Ab is trah say Zohar ke 4 rakaat sunnat mukamil ho jati hain. Ab bilkul isi trah baki 4 rakaat farz, 2 rakaat sunnat or 2 rakaat nafal phar lain.
Note: 2 rakaat sunnat ya nafal phartain huvy, Tashahhud pharne ke bad, Allah-Akbar keh kar khare ni hona balke wohi baith kar Darrod-e-Ibrahim aur duaye- Masoora phar kar salam phair lain.
yahan complete zohar ki namaz ka tarika in urdu btaya gya hai umeed krte hai k apko pasand aya ho ga aur apki malumaat mai azafa ho ga.