Tahajjud ki namaz aik nafli abadat hain. Ye namaz Allah Talah ki Pasandeeda abadaton ma alla darja rakhti hain. Rat ki Mutlak namaz ko tahajjud ki namaz kaha jata hain, matlab k isy rat k kisi hisay ma fajar sy pehly tak parskty hain. Aj as article ma hum ap ko tahajjud namaz ka tarika in urdu ma seekhaien gy.
Tahajjud Namaz ki Fazilat:
Tahajjud Namaz ke quran or hadees main bohat fazilat bayan ki gai hain. Farz namazon k bad nafli namazon main sub say Afzal namaz Tahajjud ki hain, kuin k insan rat ki nend chor ker bister say alag ho kar Allah Talah ko zyada tarjeeh deta hain.
Quran Main Tahajjud Ka Hawala:
Ay Allah k nabi rat main tahajjud parha kro ye apk liye nafal hain or ho skta hain is k zariye Allah apko muqame-mehmmod tk pohacha dain.
Hadees Main Tahajjud Ka Hawala:
Rat k qayam ya tahajjud ko apny upper lazim ker lo kuin ke ye pehly naik logon ka tarika hain or Allah ki taraf qurtab ka zariya hain. Or ye gunahon ko mitany or rokny wala amal hain.
Sahi Muslim ki Rawayt Main Bayan Hain:
Allah Talah har rat k akhri pehar asmani duniya py ata hain or Farmata hai k hain koi mera banda jo rat ke is pahar mujh sy magfirat talab kry main maaf krun, hai koi jo dua mangain ma usy ata krun. Tahajjud Allah Talah ki ladli namaz hain. Is namaz ma mangi gai duain Allah Talah ki bar-ghah kbhi Rad nahi hoti.
Tahajjud Namaz Ka Waqat:
Tahajjud ki namaz ka wakat Isha ki namaz k bad say subha fajar tak hota hain. Rat ko sony k bad or fajar say pehly kisi b wakat ager ankh khul jay to ap tahajjud ki namaz parh skty hain. Is namaz k liye rat ko so kar uthna lazmi nahi hain. Tahajjud ki namaz Isha ki nmaz k bd parh lain, adhi rat ya rat k akhri pahar b parh skty hain.
Tahajjud Namaz Ka Rakaat:
Tahajjut ki namaz ak nafli namaz hain or is ki tadaad fix nahi hain. Jitni insan ki istataat ho parh lain, Agarcha 2 rakat ada krna masnoon hai. Is say zyada b parh skty hain, ap km say kam 2 or zyada sy zyada 8 ya 12 rakaat tk ada kr skty.
Tahajud ki namaz 2, 2 rakaat kr k ada kerni chahiye matlb aik time main aik niyat k sath 2 rakaat parhni chahiye.
Kya Tahajjud Ke Liye Sona Zarori hain?
Tahajjud ki namaz parhny k liye rat ko sona zarori nahi hain. Jo log rat ko jagty hain wo sony sy pehly ya fajar sy phly kisi b wakat tahjjud ki namaz parh sakty hain.
Tahajjud Namaz Ka Tarika In Urdu:
Yahan hum complete Tahajjud Namaz Ka Tarika In Urdu seekhain gy.
Tahajjud ki namaz ke liye sub say pehly wazoo kerna zarori hain.
Usk bad namaz tahajjud k liye neyat kerni chahiye. Ap 2 rakat nafal namaz dill main irada kr lain or namaz shuru krain.
Tahajjud ki nmaz 2, 2 rakat kar k, bilkul dosri nafal namazon ki tarah parhi jati hain.
Tahajjud ki namaz ma parhny wali surtain koi khas ni hoti, is ma ap koi b suratin parh skty hain. Albata behter ye hain k ap lambi lambi surtain parhain. Agr lambi surtain nahi ati to ap choti surtain zayada tadaad main parh sakty hain.
Tahajjud Namaz Ke Faiyde:
Tahajjud ki namaz parhny ke bohat zayada fowaaid hain. Jin main chand aik yaha mojood hain.
- Tahajjud ki namaz bandy ko Allah Talah ke qareeb krti hain.
- Tahajjud ki namaz parhny sy insan gunahon or buraiyon ki tafar raagib nahi hota.
- Tahajjud ki namaz ada kerny sy insan jismani bemariyon syy door rehat hain.
- Tahajjud ki namaz sy insan k pechly tamam gunah mit jaty hain.
- Tahajjud ki namaz naik logo k rasty py chalati hain.
Important Note:
Jesa k ap sub jaty hain tahajjud aik Nafli Abadat hai jo hum per faraz nahi hain. Ager kisi shakhas ki faraz namaazo ki qaza baki rhti ho to usko chahiye k unko adda kiye bagair koi b Nafli Namaz Adda na krain. Umeed karty han ab ap ko tahajjud namaz ka tarika achy sy yad ho gaya ho ga.