Allah talah ne insan ko apni ibadat ke liye paida kiya aur tamam musalmano par din mai 5 namazain farz ki hai. Beshak namaz be-hayai aur bure kamo se rokti hai aur namaz ko janat ki kunji kaha gya hai. Din ki farz namazon mai 5th aur akhari namaz isha ki hai, jo maghrib ke bad yani raat ke waqat aada ki jati hai. Isha ki namaz ko night time prayer b kehte hai.
Har namaz ka khas waqat hota hai aur unko isi khaas waqat ma aada karna Afzal hai. Is article ander complete isha ki namaz ka tarika in urdu, waqat, rakaat, niyat aur fazilat ko bayan kiya gya hai.
Isha ki Namaz Ki Fazilat:
Fajar ki namaz ki trah isha ki namaz ko b bohat fazilat haasil hia. Kuin ke fajar ke waqat insan par nend ka galba hota hai to wo namaz uth nahi pata aur isha ke waqat insan kaamon se farig to hota hai magar thaka huva hota hai. Is liye fajar or isha Allah Talah ki mehbob namazain hai ke banda har cheez ko chor Allah ke hazoor khara hota hai. Inki fazilat kuch is trah bayan ki gai hai.
Nabi Pak SAW ka farman hai, jis shakhs ne doo thande waqat yani Fajar aur Isha ki namaz phar li, wo janat mai dhakhil ho ga aur jahanum se azad ho jaen ga.
Hadees Mubarak mai hai k; Jo shakhs isha ki namaz ke liye hazir huva, goya us ne adhi rat Allah ki ibadat kar li aur jis ne sath fajar ki namaz ba-jamat aada ki, to use pori rat ki abadat ka sawab mile ga.
Rasool pak SAW ne farmaya; ay momino fajar or isha pabandi se pharo kquin ke ye munafiqon par sub se bhari namazain hai.
Isha ki Namaz Ki Waqat kab shuru hota aur kb tak Rehta hai?
Jesa k ap sub ko maloom hai har namaz ka aik khas waqat hota hai aur us namaz ko usi waqat mai aada karna chahiye. Isha ki namaz ka waqat magrib se taqreban 1 ghante bad, jub asman se safaidi khatam ho jain or saiyahi (andhera) phaal jain tab shuru hota hai aur subha sadiq yani fajar tak hota hai.
Isha ki namaz ke waqat 3 parts ma divide kiya jata hai, aik tahai rat ka waqat, adhi rakat ka waqat aur pori raat yani fajar tak ka waqat. Magar Afzal yeh hai k 1 tahai rat (phale 3 ghante) yani 12 bajhe tak isha ki namaz phar lani chahiye.
Isha ki Namaz Ki kitni Rakaat hoti hai?
Baki tamam namazon ki trah isha ki namaz ki b rakaat hai,magar isha ki namaz ki rakaat baki namazon se zyada hai. Isha ki namaz ki total 17 rakaat hoti hai, jis mai sub se phale 4 sunnat gair-muakkada hai, pher 4 farz hai, pher 2 sunnat muakkada, 2 nafal, 3 witr aur 2 nafal pharhain.
- 4 rakaat Sunnat (gair-muakkada)
- 4 rakaat Farz
- 2 rakaat Sunnat (muakkada)
- 2 rakaat Nafal
- 3 rakaat Witr (wajib)
- 2 rakaat Nafal
Sunnat Muakkada aur Gair-Muakkada rakaat mai kya farq hota hai?
Sunnat muakkada wo sunnat hai jis ko rasool Akram SAW ne hmesha khud aada ki ho aur aada karne ki takeed b ki ho, aur agar isko chordenge to gunnah ho ga.
Sunnat gair-muakkada wo sunnat hai jis ko aada karne ki takeed nahi ki gai, agar phar lain to sawab hai naa pharhen to gunnah nahi.
Isha ki Namaz ki Niyat Karne Ka Kya Tarika hai?
Namaz ki koi zarori niyat nahi hoti, namaz ki niyat bus dill ka irada hai, dill mai namaz ka irada kar lena hi namaz ki niyat hai, zuban se bolne ya niyat karna zarori nahi hoti. Agar pher b ap zuban se niyat karna chahty hai to is trah se ki jain gi.
4 rakaat Sunnat gair–muakkada ki Niyat:
Niyat ki mai nay isha ki 4 rakaat sunnat gair-muakkada, sunnat-Rasoolallah ke, Wasty Allah ke, Muh traf Qaba Shareef k.
4 rakaat farz ki Niyat:
Niyat ki mai nay isha ke 4 rakaat Farz ke, Waste Allah Ke, Muh traf Qibla Shareef ke.
2 rakaat Sunnat-muakkada ki Niyat:
Niyat ki mai nay isha ki 2 rakaat sunnat muakkada, sunnat-Rasoolallah ke, Wasty Allah Talah ke Muh traf Qaba Shareef ke.
2 rakaat Nafal ki Niyat:
Niyat ki mai nay isha ki 2 rakaat Nafal ke, Waste Allah Ke, Muh traf Qaba Shareef ke.
3 rakaat witr ki Niyat:
Niyat ki mai nay isha ki 3 rakaat witr ki, Waste Allah Ke, Muh traf Qaba Shareef ke.
2 rakaat Nafal ki Niyat:
Niyat ki mai nay isha ki 2 rakaat Nafal ke, Waste Allah Ke, Muh traf Qaba Shareef ke.
Isha ki Namaz Ka Tarika In Urdu:
Isha ki namaz ko night prayer b kehte hai aur is namaz ko bohat fazilat hasil hai. Niche isha ki namaz ka tarika in urdu aur complete guidance majood hai.
4 rakaat Sunnat gair-muakkada Ka Tarika:
1. Pheli rakat:
Takbeer:
Sub se pehle isha ki 4 rakaat Sunnat gair-muakkada ki niyat bandh lain. Phar Takbeerah -e-tehreema yani Allah akbar keh kar dono hath is trah se bandh lain ke daya hath baye hath ke upper rakh lain. Mard apne hath naaf se niche bandhain jab ke aurtain seenye pay bandh lain.
Al-Qayyam:
Takbeerah kehne ke bad sanaa aur phar tauz aur Tasmia phar lain. Phar usk bad surat-al-fatiha pharhain or usk bad surat ikhlas ya koi b surat phar sakte hai.
Ruku:
Jab ap surat phar chuke, usk bad ruku ke liye jhuk jain aur Apk dono hath dono ghutno par ho. Is halat ma ruku Ki tasbih 3 bar phar lain.
Qayyam:
Ruku ki tasbih pori karne ke baad sedhe khare ho jain or ye kalmaat pharhain.
Sajjidah:
Phar usk baad Allah Akbar kehte huve sajjide main chaly jain aur 3 bar sajjide ke Tasbih phahain. Pher Allah Akbar kehte huvy uth jain or seedhe baith jain. Phar dosre sajjide ke liye Allah Akbar keh ker jhuk jain. Dono sajjdon mai ak hi tasbih ko dohrain, aur pher Allah-Akbar kehty huvy dosri rakat k liye khare ho jain.
2. Doosri rakat:
Jab doosri rakat k liye khare ho jain to phar Tasmia phar ke surat fatiha to phar pehli rakat kit rah hi dosri rakat ko pori krain. Phar jab doosri rakat ke dono sajjde kar lain phar khare hone ki bajaye tashahhud k liye baith jain.
Tashah-hud:
Sajde karne ke bad tashahhud mai baith jain k apka daya paon khara ho or baya becha huva ho. Ab is halat mai aur apk dono hath ghunton per ho aur phar Attahiyyat, phar lain.
3. Teesri or Chothi Rakat:
Tashahhud complete karne ke bad teesri rakat k liye khare ho jain or phar Tasmia se shuru karte huve teesri rakat complete krain aur phar isi trah chothi rakat ko b phar lain. chothi rakat ke sajde k bad Attahiyat pharhain.
Darrod Shareef aur dua e Masoora:
Tashahhud ke baa dap wohi baithe huve pehle darood shareef pharhain aur usk bad dua-e-masoora yani rabbi jalni phar lain.
Salam:
Dua mukamil hone ke bad akhir ma salam pherain. Salam pehle daen traf salam pherain or phr baen tarf pherin aur ye kalmaat dohrain.
4 rakaat farz ka tarika:
4 rakat farz ki niyat karne k bad taqbeer-e-tehreema keh k hath badhain aur Sanaa, tauz aur tasmia phar lain. Phar farz ki pheli 2 rakaat mai surat fatiha k bad koi b surat pharhain or baki rakaat wesi hi pharhain jaise sunnat pharhi hai.
Phar tashahhud pharne k bad Allah akbar keh kar teesri rakat k liye khare ho aur phar teesri aur chothi rakat mai surat fatiha k bad koi b sura nahi pharni aur ruku mai jain aur baki namaz aada krain. Usk bad chothi rakat k sajjde ke baad Attahiyat, darrod shareef,aur dua phar kar salam pher lain.
Note: farz ki 3rd or 4th rakaat mai surat fatiha k bad koi surat nahi pharte balke fatiha k bad direct ruku karna hai.
Phar usk bad 2 rakaat Sunnat-muakkada, 2 rakaat Nafal, 3 rakaat witr aur akhir 2 rakat nafal b bilkul waise hi baki namaz kit rah aada krain. Is trah apki isha ki namaz complete ho jain gi.
Isha ke 3 Witr pharne ka kya tarika hai?
3 rakat witr wajab ki niyat karne ke baad hath bandh lain. Phar Sanaa, tauz or tasmia phahain. Usk bad surat fatiha phahain aur isk baad koi surat nahi pharni phar ruku aur sajood krain aur Allah Akbar kehte huve doosri rakat k liye khare ho aur dosri rakat b pehli kit rah phar lain. Doosri rakat ke sajjde karne ke baad tashahhud ke liye baithe aur Attahiyat pharain.
Attahiyat phar kar seeri rakat ke liye sedhe khare ho jain aur tasmia aur surat fatiha pharhain k baad koi surat nahi pharhni. Usk baad Allah Akbar kehte huve hath uthain aur phar bandh lain aur Dua-e Qunoot pharhain. usk bad ruku krain au rusk baad sajde krain aur phar tashahhud mai baith jain. Aur Attahiyat, darrod shareef, aur dua-e-masoora phar kar salam pher lain. Is trah se isha ke witr aada ho jain gye.
Isha ke Witr ki fazilat:
Isha ki namaz ke witr wajib hai aur inko bohat fazilat fazilat hasil hai. Isha ke witr, isha ki namaz ke bad or fajar ki namaz se pehle kisi b waqat mai phar sakte hai. Witr aik mustakil abadat hai aur Rasool pak isko hmesha ada karte the.
Nabi Akram SAW ne farmaya; Ay imaan walo, Allah ne aik namaz ke zariye tum logo ki madad farmai hai aur wo namaz witr hai, isko isha aur fajar ke beach mai phar lia kro.
Abu-Dawood Shareef ki Hadees hai; witr haaq hai, jo witr na pharhain wo shakhs hum mai say nahi.
Isha ki namaz baki tamam namazon se lambi hai aur bohat zayda fazail rakhti hai. Umeed karte hai k apko upper dia gya complete isha ki namaz ka tarika in urdu samaj aya ho ga.