Table of Contents
Namaz Islam ke 5 Arkaan me se ek aehm or bunyadi Rukan he or Namaz har Aaqil or baligh Musalman par din me 5 marta Farz he.
Namaz ka Tarika Janny se pehly Namaz ke Rakaat or Sharait ka janna bohot zaruri he. Nichy hamny eski mukammal tafsilaat biyan ki hen ke har Namaz me total kitni Rakaat hoti hain aur Namaz ki Sharait b sath biyan ki gai hen.
Namaz Ki Sharait:
Namaz ka tarika seekhny sy pehly sharait seekhna zarori ha. Namaz ki Sharait ka matlab ye he ke aesy kaam jinka Namaz Shoru karny se pehly karna Zaruri he, warna Namaz naen hogi.
- Badan ka pak hona
- Kapron ka pak hona
- Namaz ki jaga ka pak hona
- Jisam ka dhanpna
- Qibla rukh hona
- Namaz ka Waqt hona
- Namaz ki niyat karna
Namaz ki Rakat:
Sunnat Muakkada Aur Ghair Muakkada Rakaat Mai Kya Farq Hota Hai?
Sunnat Mu’akkadah:
Ye wo sunnat Namaz he jo Nabi Muhammad ﷺ ne hamesha parhi he or esky parny ki baqaeda talqin b ki he.
Sunnat Ghair – Mu’akkadah:
Ye wo sunnat Namaz he jo Nabi Muhammad ﷺ ne kabi ada ki he or kabi naen. Sunnat Ghair-Mu’akkadah ada karny se sawab zarur milta he lekin enko chorny se banda gunah gar naen hota.
Sunnat Namaz Ka Tarika:
Koi b Namaz shoru karny se pehly chaye wo Sunnat ho, Farz ho, ya Wajib, us ki Niyat karna bohot zaruri he. Mukammal tafisilat nichy di gai hen.
Sunnat ki Niyat Karna:
Ye zaruri naen he ke Namaz ki Niyat Zaban se hi ki jae kiun ke Niyat sirf dil ke irade ko kehty hen. Lekin agr aap zaban se niyat karna chahte hen to kar sakty hen.
Me niyyat karta / karti hun 4 / 2 Sunnat [Jo Namaz ho sath us Namaz ka name len, jesy Fajr ki 2 Sunnat ki Niyyat karta hun], Khaas waaste Allah Tahala ke, 2 Rakaat Namaz Sunnat Muakkada , Mun mera Taraf khana kaaba shareef ke.
Takbeerah -e-Tehreema اَللهُ أَكْبَرُ : (Namaz Shoru karny se pehly Allahu Akbar kehna):
Takbir-e-Tehrima ka matlab ye he ke jab aapny Namaz shoru karli to doran-e-Namaz aap keliye jab tak Namaz mukammal naen hoti, dunya ke tamam muamlaat haram hogae hen.
Namaz ki niyyat ke baad dono hathon ko kano tak es trah uthae ke dono hathon ki hatheliyan Qibla ki taraf hon. Dono hathon ki ungliyan na bohot mili hoi hon or na khuli hoi hon balky asli halat par rahen. Phir Takbir-e-Tehrima yani اَللهُ أَكْبَرُ keh kar hathon ko naaf ke nichy baandh le. Daya hath uper or bayan hath usky nichy rahy.
Qiyam:
Takbeer-e-Tehrima kehne ke bad Sanaa (سُبْحَانَكَ اللَّهُمَّ وَبِحَمْدِكَ وَتَبَارَكَ اسْمُكَ وَتَعَالَى جَدُّكَ وَلَا اِلٰهَ غَيْرُكَ) aur phar Tauz ( أَعُوْذُ بِاللّٰهِ مِنَ الشَّيْطَانِ الرَّجِيْمِ ) aur Tasmia ( بِسْمِ اللّٰهِ الرَّحْمٰنِ الرَّحِيْمِ ) par lain. Phar usk bad Surat-al-Fatiha pharhain or usk bad surat Ikhlas ya koi b surat phar sakte hen.
Ek Baat yaad rakhni hai ke Sana sirf Pehli Rakaat ke Aghaz me hi parhi jae gi. Dusri, Teesri or choti rakaat keliye jab b aap khary hon gy, aapn Tasmiyah yani Bismillahir Rahmanir Raheem) se hi shoru karna he.
Ruku:
Surat parny ke baad Takbir yani Allahu Akbar kehty howe Raku me chaly jaen or apny dono haath apny ghutno par rakh len or ye tasib kam az kam 3 baar parni he.
Aetidaal: (Raku ke baad sida khara hona)
Raku ki tasbih mukammal karny ke baad sida khary hojae to ye kalimaat parhen
Sajdah:
Ab Takbir (Allahu Akbar) kehty howe nichy sajdy me chaly jaen or ye tasbih kam az kam 3 baar parhen (Subhana Rabbiyal Aala). Phir Allahu Akbar kehty howe beth jaen. Ab dobara sajdy me jaty howe Allahu Akbar kahen or 3 dafa ye tasbih parhen.
Dusri Rakaat:
Dono sajdy karny ke baad Allahu Akbar kehty howe dusri rakaat keliye sidha khary hojaen or Tasmiya yani ( بِسْمِ اللّٰهِ الرَّحْمٰنِ الرَّحِيْمِ ) parh kr Surah Fatiha parhen or phir koi b choti surat parh len. Ab pehli rakaat ki tara hi aapny Raku me jaty howe Allahu Akbar kehna he, Raku ki tasbi Parhni he, phir khary hoty howe Sami Allahu Liman Khamidah kehna he or nichy sajdy keliye jaty howe Allahu Akbar kehna he.
Ab jab aap dono sajdy karlen gy, usky baad Allahu Akbar kehty howe khare hone ki bajaye tashahhud k liye baith jain.
Tashah-hud: ( At Tahiyyaat)
Aapny tashahud keliye es tarah bethna he ke Apka daya pano khara ho or bayan paon nichy bicha howa ho, aapny bayen paon ke uper bethna he or apny dono haat ghutno par rakh len or ye Dua parhen.
Teesri or Choti Rakaat:
Ab Allahu Akbar kehty howe teesri rakat k liye khare ho jain or phar Tasmiyah (بِسْمِ اللّٰهِ الرَّحْمٰنِ الرَّحِيْمِ) parh kr Surah Fatiha ke baad koi b choti surat parhen. Phir Raku or Sajda karn ke baad Choti rakaat keliye sidha khary hojaen or baaqi rakaaton ki tarah ye rakaat b complete kren. Chothi rakaat ke sajdy karny ke baad tashahud keliye beth jaen or Tashahud (Att tahiyaat) parny ke baad Darud Sharif parh len.
Darud Sharif:
Tashahud puri karny ke baad apny Darud Sharif parna he or phir koi b dua parh sakty hen. Ziada tar log Dua-e-masoora hi party hen jo nichy di gai he.
Salam:
Dua parny ke baad aapny (Assalam o Alaikum) kehty howe pehly right side pe salam pherna he phir yahi kalimaat kehty howe left side pe salam pherna he. Ab aap ki Sunnat Namaz ki 4 rakaat puri hogai hen.
Nafal Namaz Ka Tarika:
Nafl parny ke b yai tarika he. Farq sirf itna he ke agr aap Nafal Namaz ki 4 Rakaat parni hen to pehly 2 rakaat parh kar salam pher len or phir 2 rakaat alag par kar salam pher len. Ye ziada afzla tarika he. Ikathi es saath b 4 rakaat parh sakty he. Lekin Sunnat Namaz me aap es tara nane kar sakty. Yani agr 4 sunnat aapny parni hen to wo aapny ikathi 4 rakaat hi parni hongi, alag alag naen par sakty.
Nafal Namazi ki Niyyat:
Me niyyat karta / karti hun 2 rakaat namaz Nafal ke, Khaas waaste Allah Tahala ke , Mun mera Taraf khana kaaba shareef ke.
4 Rakaat Faraz Namaz Ka Tarika:
Niyyat:
Me niyyat karta / karti hun 4 Rakat Namaz Farz ki [Jo Namaz ho sath us Namaz ka name len, jesy Zuhar ke 4 Farz ki Niyyat karta hun], Khaas waaste Allah Tahala ke , Mun mera Taraf khana kaaba shareef ke. Agr Imaam ke pichy jamat ke sath Namaz par rahy hon to sath ye b keh den ke Pichy hazir es imaam saab ke)
Tarika:
Es me 2 surten hosakti hen. Ya to aap akely parh rahy hon gy ya phir Masjid me jamaat ke sath parh rahy hon gy.
1. Agr Ap Akely Parh Rahy Hain To
4 Rakat Farz ki niyat karne k bad Allahu Akbar keh k hath baand len aur Sanaa (سُبْحَانَكَ اللَّهُمَّ وَبِحَمْدِكَ وَتَبَارَكَ اسْمُكَ وَتَعَالَى جَدُّكَ وَلَا اِلٰهَ غَيْرُكَ) aur phar Tauz ( أَعُوْذُ بِاللّٰهِ مِنَ الشَّيْطَانِ الرَّجِيْمِ ) aur Tasmia ( بِسْمِ اللّٰهِ الرَّحْمٰنِ الرَّحِيْمِ ) par len. Phir farz ki pheli 2 rakaat mai surat fatiha k bad koi b surat parhen or teesri or choti rakaat me sirf Surah Fatiha parhni he or baqi namaz us tara hi ada karni he.
2. Agar Ap Masjid Me Jamaat Ke Sath Parh Rahy Han To
Imam ke Takbir kehny ke baad aapny b Takbir keh kar hath baand leny he. Agr imaam ke Takbir-e-Tehrima keny se pehly aapny Takbir-e-Tehrima parh liya to aapki Namaz naen hogi.
Takbir-e-Tehrima kehny ke baad aapny Sana ((سُبْحَانَكَ اللَّهُمَّ وَبِحَمْدِكَ وَتَبَارَكَ اسْمُكَ وَتَعَالَى جَدُّكَ وَلَا اِلٰهَ غَيْرُكَ) parh kar khamosh hojana he. (Fajar, Maghrib or Isha ki Namaz me imam unchi awaz me Qiraat karta he to jab imaam surah Fatiha par le to aapny Amin kehna he) or phir khamosh hojana he.
Phir jab Imam raku me jae to aapny b Allahu Akbar kehty howe Raku me jana he or 3 baar Raku ki Tasbih parhni he.
Imam Sami Allahu Liman Khamida keh kar khara hoga to aapny sirf Rabbana Lakal Khamd kehna he or phir imam Allahu Akbar kehty howe Sajdy me jae ga. Aapny b Allahu Akbar kehty howe Sajde me jana he or phir Sajdy me b Tasbihaat parhni hen.
Jab Imam Dusri Rakaat keliye khara hoga to aapny kuch b naen parna, khamosh rehna he, Jab imam surah Fatiha mukammal karlega to aapny sirf Ameen kehna he or phir dusri Rakaat b pehli rakaat ki tara hi mukammal karni he.
Do rakaat complete karny ke baad jab imam Tashahud keliye bethy ga to aapny b Tashahud parni he. Imam tashahud puri karny ke baad teesri rakaat keliye Allahu kehta howa khara jojae ga to aapny b Allahu Akbar kehty howe khary hoajana he or phir khamaosh rehna he. (Agr imam tashahud complete kar ke khara hogiya lekin abi tak aapny tashahud puri naen parhi to aapny Tashahud complete kr ke hi teesri rakaat keliye khary hona he.) Lekin Agr aapko khadsha ho ke meri Tashahud puri karny tak imam raku me chala jae ga to phir aapny aesy hi khary hojana he tashahud puri kiye bina).
Teesri or choti rakaat b aapny aesy hi complete karni he. Chothi rakaat ke sajdy karny ke baad jab imam Tashahud keliye bethy ga to aapny b puri Tashahud or Darud Sharif parna he or phir Imam ke Sath salam pher dena he.
3 Rakat Witr Namaz Ka Tarika:
Eski b 2 surten hosakti he. Wesy aam dino me to Witr akely hi parny hoty hen lekin Ramzan me Tarahwih ke baad Witr b Imam ke pichy hi parhny hoty hen.
1. Agar Ap Akely Parh Rahy Hain To
3 Rakat Witr wajib ki niyat karny ke baad aapny Allahu Akbar kehty howe haath kaano tak utha kar baand leny he. Pehli dono rakaten aapny wesy hi parni he jesy farz ya sunnat me parhty hen. 2 Rakaaten puri karny ke baad dono sajdy kar ke Tashahud keliye beth jaen. Phir ye Attihiyat or Tashahud parhen yani
التَّحِيَّاتُ لِلّٰهِ، وَالصَّلَوْاتُ، وَالطَّيِّباتُ، السَّلاَمُ عَلَيْكَ أَيُّهَا النَّبِيُّ وَرَحْمَةُ اللّٰهِ وَبَرَكَاتُهُ، السَّلاَمُ عَلَيْنَا وَعَلَى عِبَادِ اللّٰهِ الصَّالِحِيْنَ، أَشْهَدُ أَنْ لاَ إِلَهَ إِلاَّ اللّٰهُ وَأَشْهَدُ أَنَّ مُحَمَّداً عَبْدُهُ وَرَسُوْلُهُ
Phir Allahu Akbar kehty howe sidhe khary hojaen or بِسْمِ اللّٰهِ الرَّحْمٰنِ الرَّحِيْمِ ke baad Surah Fatiha or phir koi b choti surat parhny ke baad Allahu Akbar kehty howe dono kano tak hath uthaen or Dua-e-Qunoot parhen.
اللهم إنا نستعينك ونستغفرك ونؤمن بك ونتوكل عليك ونثني عليك الخير ونشكرك ولا نكفرك ونخلع ونترك من يفجرك اللهم إياك نعبد ولك نصلي ونسجد وإليك نسعى ونحفد ونرجو رحمتك ونخشى عذابك إن عذابك بالكفار ملحق
Phir Allahu Akbar kehty howe Raku me jaen or baaqi namaz aesy hi complte karlen jesy Sunnat or Farz me karty hen.
2. Agar Ap Imam Ke Pichy Parh Rahy Hain To
Jesy aap imam ke pichy Farz parhty hen wesy hi pehli 2 rakaat witr b parhni hen. Teesri rakaat me jab imam surah Fatiha parhy ga to aapny pichy Ameen kehna he. Phir imam koi c choti surat parhy ga lekin aapny khamosh rehna he. Surat parny ke baad imam Allahu akbar kehty howe aapny dono hathon ko kano tak uthae ga aapny b Allahu Akbar kehty howe apny dono hathon ko kano tak uthana he or Dua-e-Qunoot parni he.
اللهم إنا نستعينك ونستغفرك ونؤمن بك ونتوكل عليك ونثني عليك الخير ونشكرك ولا نكفرك ونخلع ونترك من يفجرك اللهم إياك نعبد ولك نصلي ونسجد وإليك نسعى ونحفد ونرجو رحمتك ونخشى عذابك إن عذابك بالكفار ملحق
Baqi namaz aapny wesy hi complete karni he jesy Farz ki Namaz imam ke sath parte hen. Umeed karty han ap ko Namaz Ka Tarika achy sy agaya ho ga kuch mazeed janany ky liye comment section ma hum sy rabta karain.
This namaz method is written and verified by Islami Bhai