Deen- Islam ke 5 satoon hain or Namaz in main say aik hain. Allah Talah nay Muslam par din main 5 Nmazain Farz ki hain, in main aik fajar, Zoahar, Asar, Magrib or Isha shamil hain. Allah Talah nay Quran Pak main 700 sy zayada dafa namaz pharny hukam dia hain or Qayamat ke din sub say pehla sawal namaz ke bary main pocha jay ga. As article ma Complete Fajar ki namaz ka tarika in urdu bataya gaya ha jis ma Rakat, sunat, Dua, Faraz sub ko cover kiya ha.
Rasool Pak (SWA) nay Irshad Fermaya:
Namaz moomin ke miraj hain, ankhoon ke thandak hain or dill ka sakoon hain. Namaz Janaat ke kujhi hain.
Quran Main Namaz Ka Hawala:
“Namaz qaim kro or zakat diya kro or Khuda ke samany jhunkny walon ke sath jhuka kro”
Janaat waly jub jahanum walon say pochain gay k kya cheez unko jahanuum main lay ai hain to wo kahain gay hum Namaz nahi party thy.
Hum aj apko is topic main fajar ki namaz ka tarika, waqat, rakaat or fazilat batain gy.
Fajar Ki Namaz Ki Fazilat:
Fajar ki Namaz ki Qaran or Hadees ma beshamaar ahmiyat or Barkat or Fazail bayan ki gai hain.
Namaz-e Fajar say din ka Agaaz din ki pehli fataah or shetaan ke khilaf jang hain. Is k sabab kamyabiyan or asaniyan insan ka muqadar ban jati hain.
Allah Talah apny bandy say bohat khush hota hain jub wo apni subha ki nend chor kar Allah K hukam ko tarjeeh deta hain or namaz-e-fajar k liye khara hota hain. Jis ibadaat main jitni zayada mushaqaat hoti hain us ibadat ka sawab b utna hi zyda hota hain.
Namaz Fajar bajamat ada kerny ke bad Halaal Rezaq Talash kerny wala Allah Pak ke nadeek pasandeeda shakhs hain or usk liye rezaq k darwazy khol diye jaty hain.
Hadees main Fajar Namaz ka Hawala:
Ager logon ko Fajar or Isha ke Namaz ka sawab maloom ho jaye to wo apny gutnon ke bal ghaset’ty huvy masjid tak jain.
Fajar ki Namaz parhny say insan par Allah ki rehmatain nazal hoti hain, insan Allah ki hifz-o iman main ajat hain or iska chehra hmesha Roshan or norani rehta hain
Fajar Namaz Ka Waqat:
Fajar ke Namaz ka waqat subha sadiq say shuru hota hain or suraj ke pehli kiran nikalny say pehly tak hota hain. Lekin behter hain k fajar ke Namaz awal waqat main ada kerni chahiye.
Fajar Namaz Ki Rakaat:
Ap sub janty hain ke har namaz ki rakaat hoti hain. Fajar ki Namaz sub sy choti hoti hain q ke iski kul 4 rakaat hoti hain.
Pheli 2 Rakat sunnat.
Pher 2 Rakat farz.
Fajar Namaz Ki 2 Sunnat Ka Sawab:
Zyada-tar log fajar namaz ki 2 rakat farz ada karty hain or sunnat chor dety hain. Lein zarori hain ke fajar ke pori Namaz ada ke jay.
Hadees Main Fajar ki Sunnat ka Hawala:
Fajar ki namaz ki sunnat na chorny ke bary main hadees main hawala hain k:
Rasool SAW nay Irshaad farmaya; Ager insan ko fajar ke 2 sunnat ka sawab maloom ho jay to wo kabhi b sunnat ko na chorain. Is liye farz rakat ke sath sunnat b ada kerna zarori hain.
Fajar Namaz Ki Niyat:
Namaz ki niyat zuban say b ki jati or dill main b. zuban sy niyat kerna lazmi nahi hain asal niyat dill ke niyat hoti hain, dill ma pukhta irada krna hi namaz ki niyat hain.
Pheli 2 Rakat sunnet ke niyat is trah ke jay:
Niyat ke main ny 2 rakat Namaz sunnat, sunnat-e-Rasool ke, waste Allah ke muh Qaba Shareef ke taraf, Allah-u-akbar.
Pher 2 Rakat farz Namaz ke niyat is trah krain:
Niyat ke main nay 2 rakat namaz-e-fajar farz ke, waste Allah ke muh Qaba shareef ki tarf, Allah-u-akbar.
Complete Fajar Ki Namaz Ka Tarika In Urdu:
Complete Fajar ki namaz ka tarika in urdu step by step nichy beyan kiya gya han, jo k is trah say hain:
Agaaz-Namaz / Pehli Rakat:
Namaz ki niyat k bad namazi dono hathon ko kaanon tak is trah uthain k hathon kee hathelian Qibla ke traf ho or unglian sahi halat main ho. Pher taqbeer-e-tehreema (Allah Akbar) keh ka dono hath naaf ke nichy bandh lain.
Note: aurtain taqbeer-e-tehreema (Allah Akbar) keh kar dono hath seenye par bandh lain.
Or pher Sana, Tauz or Tasmia pharhain:
Usk bad surat-al–Fatiha phahain:
Surat Fatiha k bad ahista say Ameen kahain or phr Surat-al-Ikhlas ya koi b surat jo apko ati ho phar lain.
Ruku or Sajda:
Surat khatam kerny k bad Allah Akbar keh kar Ruku k liye juk jain, k dono hathon say ghutno ko pakhar lain or kamar sar ke brabar ho. Pher ye3 ya 5 dafa Ruku ki Tasbih pharhain.
Pher ye kalmaat kehty huvy seedhy khary ho jain.
Is ke bad Allah Akbar kehty huvy sajide main chaly jain or 3 ya 5 dafa sajide ki Tasbih phahain.
Pher Allah Akbar kehte huvy uthain or seedhe baith jain. Pher Allah Akbar keh ker dosra sajda isi trah krain.isk bad pher Allah-Akbar kehty huvy seedhe khare ho jain.
is trah aik rakat complete ho jati hain…
Dosri Rakat:
Sajde say uthne ke bad dosri rakat shuru kerty huvy Bismillah ke bad surat-al–Fatiha pharhain. Or dosri rakat b bilkul pehli rakat ke trah adaa krain.
Tashahhud:
Dosri rakat khatam kerny ke bad Tashahhud ke liye is trah say baith jain ke dayan paon khara ho or unglian Qibla ki traf ho or bayan paon becha huva ho. Or dono hath ghunton per rakhain or Attahiyyat, pharhain.
usk bad Darrod-e-Ibrahim pharhain.
Pher Darrod-e-Ibrahim k bad duaye- Masoora phar lain.
Salam:
Dua pharny ke bad pehly daen traf or phr baen taraf salam pherain. Or salam ke ye kalmaat kahain.
yahan complete fajar ki namaz ka tarika in urdu btya gya hai umeed hai k apko ye tarika pasand ay ga.