Allah Talah ne musalman par kuch chezain farz ki hai un mai se aik aham cheez namaz hai. Namaz Allah ki pasandeda abadat hai or hamari hifazat ka zariya hai. Allah Talah ne musalmano par din 5 namazain farz ki hain. Din ki in 5 namazon ma 4th namaz maghrib ki hai, jo ke asar ki namaz ke bad aada jati hai.
Aj hum is article mai complete maghrib ki namaz ka tarika in urdu, waqat, niyat, aur maghrib ki namaz ke fazail discuss krain gye.
Maghrib ki Namaz Ki Fazilat:
Dosri tamam namazon ki trah, maghrib ki namaz ki b bohat zayada barkat aur fazilat hai. Hadees mai maghrib ki namaz ki fazilat kuch is trah bayan ki gai hai
Nabi Pak SAW ne farmaya; logo sham ke waqat shetaan or shetani chezain bahir nikal ati hai to tum log in se bachna chahte ho to tum log maghrib ki namaz phara kro, Allah Talah is namaz ke saadqe in tamam shetani cheezon, jinaat, jadoo se tumhari hifazat farmiga.
Maghrib ki Namaz Ki Waqat kab tak hota hai?
Maghrib ki namaz ka waqat suraj garoob hone ke bad shuru hota hai. Maghrib ki namaz ka waqat baki tamam namazon ke waqat se km/thora hota hain. is liye maghrib ki namaz jald aada karni chahiye. Maghrib ka waqat suraj dubne ke bad taqreban 1 ghanta (1 hour) tak rehta hain lekin Afzal ye hai k awal waqat mai phar li jain.
Maghrib ki Namaz Ki kitni Rakaat hai?
Baki tamam namazon ki trah maghrib ki namaz ki b rakaat hoti hain. maghrib ki namaz ki total 7 rakaat hoti hai jis mai pehle 3 farz hai, phar 2 sunnat hai aur phir akhir mai 2 nafal hote hai.
- 3 rakaat farz
- 2 rakaat sunnat muakkada
- 2 rakaat nafal
Maghrib ki Namaz ki Niyat Kaise Karen?
Maghrib ki namaz ki niyat ap dill mai b kar sakte hain or zuban se b. Dill ma niyat kar lena kafi hai, zuban se niyat karna zarori to nai magar kr li jae to sawab hai. Maghrib ki 7 rakaat ki niyat is trah kren.
3 rakaat Farz ki Niyat:
Niyat ki maine 3 rakaat namaz maghrib farz ki, Allah Talah ke waste, Muh mera Qaba shareef ki traf, Allah akbar.
2 rakaat Sunnat Muakkada ki Niyat:
Niyat ki maine 2 rakaat namaz maghrib sunnat, sunnat Rasool ki, Allah Talah ke waste, Muh mera Qaba shareef ki traf, Allah akbar.
2 rakaat Nafal ki Niyat:
Niyat ki maine 2 rakaat namaz maghrib nafal ki, Allah Talah ke waste, Muh mera Qaba shareef ki traf, Allah akbar.
Complete Maghrib ki Namaz Ka Tarika In Urdu:
Yaha apko maghrib ki namaz ka complete tarika apko btain gye. Maghrib ki 7 rakaat mai sub se pehle 3 rakaat farz ki adaigi dekhain gye.
3 Rakaat Farz Ka Tarika:
3 Rakaat namaz Farz is trah se aada krain;
Pehli rakat:
Sub se pehle 3 rakaat farz ki niyat karne ke baad taqbeer-e-tehreema kharhain phar aur Allah-Akbar keh kar apne dono bandh lain k apka daya hath baye hath ke upper ho. Mard apne hath naaf ke nichy badh lain aur auratain apny hath seenye par bandh lain.
Al-Qayyam:
Allah-Akbar kehne ke bad sanaa yani Subhana-Kalla pharhain aur phar usk bad ap tauz aur Tasmia phar lain.
Surat-Al-Fatiha:
Sana khatam karne ke bad Surat-Al-Fatiha phar lain.
Surat-Al-Ikhlas:
Jub ap surat fatiha phar chuke uske bad ap surat ikhlas ki tilawat krain, ya is k illawa apko jo koi b surat ati ho wo phar lain.
Ruku Ki Dua:
Surat ki talawat karne ke baad ap ruku ke liye jhuk jain is trah se ke apk dono hath apk ghutno par ho or apki sar or kamar braber ho. Phr ruku ki dua 3 ya 5 bar pharhain.
Ruku se uthne ki dua:
Ruku ki dua phar lain eke bad seedhe khare hote huvy ap ruku se uthne ki dua pharhain. Jo k ye hai.
Sajde ki dua:
Ruku se uthne ke bad sajde mai chale jain, or sajde ki dua pharhain. sajde ki dua ap 3 ya 5 dafa phar sakte hain, matlab taak aadad mai phar sakte hain. usk baad Allah Akbar keh akr uthain aur seedhe baith jain, Phar Allah Akbar keh k dosra sajda krain aur Allah-Akbar keh kar uth jain.
Dosri Rakat:
Jub ap pehli rakat ka sajda complete kar chuke, usk bad Allah-Akbar kahen aur sedhe khare ho jaen. Phar usk bad doosri rakaat ko pehli ki tarah phrahain. Aur phar jub dosri rakaat sajde kar ke complete kar lain to phar ap usi jaga pay Tashahhud yani Attahiyyat baith jain.
Tashahhud:
Dosri rakat khatam karne ke baad Tashahhud k liye baith jain aur Attahiyyat phrahain. Tashahhud mai bethne ka tarika ye hai ke apka daya paon khara ho aur baya paon becha huva ho. Aur is haalat mai apk dono hath dono ghutnon pay rakhain hovy ho.
Teesri rakat:
Jub ap Attahiyyat phar lain phar ap dobara se Allah-Akbar kehte hue khare ho jain aur phar ap teesri rakat shuru krain. Teesri rakat b pheli 2 rakaat ki trah aada krain albata ap surat fatiha ke baad koi or b surat phar sakte hain.
Darrod-e-Ibrahim:
Teesri rakat ke sajde aur Attahiyyat complete karne ke bad phar ap Darood Shareef phar lain.
Dua-e-Masoora:
Jub ap Darrod-e-Ibrahim khatam kar chuke usk bad ap duaye masoora yani “Rabbi Jalni Muqimas Salaati” pharhain.
Salam:
duaye masoora ke bad akhir ma salam pherain. Salam pherte huve pehle daen traf salam pherain or phr baen tarf. Aur ye kalmaat pharhain.
2 rakaat Sunnat Muakkada Ka Tarika:
Salam pher lane k bad apki 3 rakat farz complete ho gye. Ab uske bad usi trah 2 rakat sunnat maghrib adad kr lain. Dosri rakat ke sajade aur Tashahhud khatam karne ke baad, Allah Akabr keh kar uthne ki bajaye wohi bethain rahain or Darrod-e-Ibrahim aur phar duaye massora phrain or uski baad salam pher lain. Is trah apki 2 rakat sunnat complete ho jain gi.
2 Rakaat Nafal Ka Tarika:
Phar usi trah sunnat aada karne ke baad taqbeer-e-tehreema keh kar nafal shuru krian or use b 2 rakat sunnat kit rah adda kr lain.
Maghrib ke bad ki dua:
Insan ko har namaz ke baad dua zaror mange. Namaz ke baad dua ki bohat fazilat hai, dua qismat ko baldne ki taqat rakhti hai, is ke samne dunia ki badi badi chezain is ke samne bebas ho jati hai. Aj apk sath maghrib ke baad ki aik aham dua share kru gi is ma bohat sari taqaten hai. Ye ap kisi b nanaz ke bad phar sakty hain lekin ager din ma aik bar pharni ho to isko maghrib k bad pharhain.
Aur yaha maghrib ki namaz ka tarika mukamal hva. Umeed hain k apko ye complete maghrib ki nama ka tarkia in udru, jo is article ma cover hai, apko pasand aya ho gya.