Jesa k ap sub janty hai k Allah Talah nay Muslam par din main 5 Nmazain Farz ki hain, jo k ye fajar, Zoahar, Asar, Magrib or Isha hain. In 5 namazon main teesri namaz asar ki hai, jo Zohar ki namaz ke bad pharhi jati hai. Ap is article main asar ka waqat, rakaat, fazilat or complete asar ki namaz ka tarika in urdu maloom kar sakty hain.
Namaz-Asar ki Fazilat:
Fajar ki namaz ki trah asar ki namaz ki b bohat fazilat hain. asar ki fazilat is liye be bohat zyada hain k Allah Talah nay khud is namaz ko parhne par zoor dia hain.
Surat-al- Bakra aik ayat is trah bayan ki gai hain k; “Sub Namazon ke paabandi kro khas toor par beach ki namaz (yani Namaz-Asar) ki aur khuda ke samnye aadab say khare raha kro”. (Ayat: 238)
Asar ki namaz ko bohat zyada ahmiyat di gai hain, Asar i namaz chorne ka bohat zyada gunah hain. Hadees-e- Nabi (SAW) hain ke; jis shakhas ke asar ki namaz qaza ho gai, to wo aise ho gya jaise uska maal or ghar wale loot liye gaye.
Namaz-Asar ka Waqat:
Asar ke namaz ka waqat Zohar ke namaz ka waqat khatm hone ke bad shuru hota hain, yani ke har cheez ka saya (shadow) double ho jane ke bad shuru ho jata hain, aur suraj doobne (sunset) say pehle tak hota hain.
Namaz-Asar ki Rakaat:
Asar ke Namaz ke total 8 rakaat hoti hain, ye rakaat is trah say hain
4 Rakaat Sunnat (ghair-muakkadah)
4 Rakaat Farz
Namaz-Asar ki 4 Sunnat:
Asar ki namaz ki farz say pehle ke 4 rakaat sunnat ghair-muakkadah hoti hain. matlab ye ki ager pharhain gye to mustahab hain yani sawab ho ga or agar nahi pharhain gye to koi gunnah nahi hain. Asar ki sunnat pharne k bary main taqeed ni ki gai.
Namaz-Asar ki Niyat:
Namaz ki niyat dil main ke jati hain kuin ke dill ke pukhta irade ko niyat kehty hain, zuban say niyat kerna zarori nahi magar kr li jaye to mustahab hain. Asar ki 4 rakaat farz ke zuban niyat kuch is trah say ki jati hain.
“Niyat ki main nay asar ki 4 rakaat farz ki, Allah Talah ki liye, Muh mera Qaba shareef ki taraf”.
Complete Asar ki Namaz ka Tarika In Urdu:
Yahan asar ki namaz ka tarika step by step mukamil toor par bayan kiya gya hain.
4 rakaat farz ka tarika:
Step 1: Sanaa
Asar ki 4 rakaat farz ke niyat karny ki bad apne dono hath kanoon tak uthain ke dono hathelian qabila ki taraf ho aur phar taqbeer-e-tehreema (Allah-Akabr) keh kar hath badh lain. Mard apny hath naaf say niche bandh lain aur jubke aurat apny dono hath seenye pay bandhain. Uske bad Sanaa (Subhana-Kalla) phar lain.
Step 2:
Jub ap Sanaa phar lain, Uske bad phar tauz aur Tasmia pharhain.
Step 3:
Tauz or tasima ke bad surat-al–Fatiha ke tilawat krain. Usk bad phr Surat-al-Ikhlas ya koi b surat jo apko ati ho phar lain.
Step 4: Ruku
Surat Ikhlas ya koi b surat pharne ke bad Allah Akbar kahain aur Ruku k liye juk jain, k dono hathon say dono ghutno ko pakhar lain. phar 3 ya 5 dafa Ruku ki Tasbih phar lain.
Step 5:
Ruku ki tasbih complete karne k bad sedhe khare ho jainor ye kalmaat kahain.
Step 6: Sajda
Ruke ke bad Allah Akbar kehte huvy sajide main jain. Aur 3 ya 5 dafa sajide ke Tasbih phar saktain hain. Pher Allah Akbar kehte huvy uth kar seedhe baith jain. Aur Pher Allah Akbar keh ker dosra sajda krain. Aur pher Allah-Akbar keh kar uthain.
Step 7: Doosri Rakat
Step 6 tak apki aik rakat mukamil ho jati hain. Uske bad ap Allah-Akbar keh kar sedha khare ho jain aur doosri rakaat ko pehli ki tarah adaa krain. Aur jub dosri rakaat ka dosra sajda complete kar lain to wohi baith jain or Tashahhud yani Attahiyyat, pharhain.
Step 8: Tashah-hud
Tashah-hud ki halat ma is tarah bethain k daya paon khara ho or uski unglian Qibla ki taraf rahain or baya paon becha kar us pay baith jain. Aur is haalat mai dono hath dono ghutnon pay rakhain aur usk bad Tashahhud (Attahiyyat) phar lain.
Step 9: Teesri aur chothi Rakat:
Phar Attahiyyat pharne k bad Allah akbar keh kar teesri rakat k liye khare ho jain aur Tasmia se shuru krain. Teesri aur chothi rakat mai surat fatiha k bad koi b sura nahi pharni aur surat fatiha k baad ruku mai jain aur baki namaz aada krain. Usk bad chothi rakat k sajjde ke baad Attahiyat, ke liye baith jain.
Step 10:
Attahiyyat pori hone ke bad ab ap Darood Shareef phar lain.
Step 11: Dua-e-Masoora
aur Pher Darrod-e-Ibrahim complete kerne k bad duaye- Masoora phar lain.
Step 12: Salam
Uske bad akhir ma salam pher lain. Aur sub say pehly daen traf salam pherain or phr baen taraf salam pher lain aur apki nazrain apk kandhon ke taraf honi chaiye. Aur tarf salam pherte huvy ye kalmaat pharhain. Is trah apki asar ki 4 rakat farz complete ho jati hai.
Yahan complete Asar ki namaz ka tarika in urdu beyan kiya gya hain umeed hai k apko pasand aye ga or apk ilam ma azafa ho ga.